NAMAZ E EID

Eid ki Namaz Eidgah (Ya Khulay Maidan) Mein Parhna

Sahih Ahadith se Dalail

Rasool Allah ﷺ ki sunnat se sabit hai ke aap ﷺ Eid-ul-Fitr aur Eid-ul-Adha ki namaz Eidgah mein ada karte thay, bawajood iske ke Masjid-e-Nabawi mein ek rakat ka sawab aam masjid se kahin zyada hai.

Hazrat Abu Saeed Khudri (RA) se Riwayat: Hazrat Abu Saeed Khudri (RA) bayan karte hain, “Rasool Allah ﷺ Eid-ul-Fitr aur Eid-ul-Adha ke din Eidgah ki taraf nikalte thay.” (Sahih Bukhari, Kitab-ul-Eidain, Bab-ul-Khurooj Ila-l-Musalla Bighayri Minbar, Hadith 956)

Ibn-e-Abbas (RA) se Riwayat: Ibn-e-Abbas (RA) bayan karte hain, “Rasool Allah ﷺ Eid-ul-Fitr ke din nikalay aur (Eidgah) mein do rakat namaz-e-Eid parhi. Aap ﷺ ne na is se pehle nafil namaz parhi aur na is ke baad. Aap ﷺ ke sath Bilal (RA) bhi thay.” (Sahih Bukhari)

Ibn-e-Umar (RA) ka Bayan: Ibn-e-Umar (RA) bayan karte hain, “Nabi ﷺ Eidgah jatay to barchha (danda jiss ke neeche lohay ka phal laga hota) aap ﷺ ke aage aage le jaya jata tha phir ye Eidgah mein aap ﷺ ke samne gaadh diya jata aur aap ﷺ iski aar mein namaz parhtay.” (Sahih Bukhari, Kitab-ul-Eidain, Hadith 973)

Hazrat Ali (RA) ka Irshad: Hazrat Ali (RA) maidan ki taraf nikalay aur farmaya, “Agar maidan ki taraf nikalna sunnat na hota to main namaz masjid mein parhta.” (Sunan-ul-Kubra lil-Bayhaqi)

Syedna Abdullah bin Umar (RA) ka Amal: Syedna Abdullah bin Umar (RA) masjid se takbeer kehte hue Eidgah ki taraf jatay aur takbeer kehte rehte hatta ke imam aa jata. (Sunan-ul-Darqutni 2/43)

Kholasa-e-Kalam

Kholasa yeh hai ke Eid ki namaz masjid se bahar Eidgah ya khulay maidan mein parhna sunnat hai. Shar’i uzar ke baghair masjid mein Eid ki namaz parhnay ka koi saboot nahi hai. Haan, agar barish ho to phir masjid mein Eid ki namaz parhna jaiz hai jaisa ke Syedna Umar (RA) ke irshad se sabit hai. (Al-Sunan Al-Kubra lil-Bayhaqi 3/130)

Eiden ke Moka Par

Saal ke baad Eiden ke mokay par poori basti ki bohot si masajid ke namazi abadi se bahar khulay maidan mein jama hokar namaz-e-Eid ada karte hain. Aaj kal har masjid ki intizamia apni alag namaz-e-Eid parhnay ke liye koshish mein lagti hai. In mein aisi masajid bhi hain jahan aam namazon mein paanch, saat namazi hotay hain, namaz-e-Jumma ka wujood hi nahi, lekin saal ke baad baray hazrat sahib Eid ke mokay par aa tapkate hain aur namaz-e-Eid ka ehtemam kiya jata hai. 15 se 20 logon ko namaz-e-Eid parhai jati hai.

Islami ibadat mein ijtima’iyat ka jo khubsurat tasawwur tha, woh ahista ahista madum hota ja raha hai. Hamen is pehlu par bhi ghoor karne ki ashad zarurat hai. Allah Ta’ala amal ki tawfiq de.

Zid Hajj Ka Pehla Ashra aur Qurbani ke Ahkam

Qaal Allah Ta’ala: Qul inna salati wa nusuki wa mahyaya wa mamati lillahi rabbil ‘alamin (Surah Al-An’am Ayat Number 162) Tarjuma: Keh do keh beshak meri namaz, meri ibadat aur mera jeena marna sab kuch Allah ke liye hai jo tamam jahaanon ka parwardigaar hai! (Aasan Tarjuma-e-Quran)

⭐Hajjat-un-Nabi ﷺ ye Huzoor Akram ﷺ ke irshad Zil Hajj ki 10 tareekh ko koi neik amal Allah Ta’ala ke nazdeek qurbani ka khoon bahaane se barh kar mehboob aur pasandeeda nahi ka amli izhaar hai aur is amal mein un hazraat ka bhi jawab hai jo maghribi tahzeeb se mutasir ho kar keh dete hain ke janwaron ki qurbani ke bajaye ghareebon ko paisay taqseem kar diye jayen. Islam ne jitna ghareebon ka khayal rakha hai uski koi misaal kisi doosre mazhab mein nahi milti!

⭐Balki insaniyat ko ghareebon aur kamzoron ke dard ka ehsas shariat-e-Islamiya ne hi sabse pehle dilaya hai. Ghurbah wa masakeen ka har waqt khayal rakhte hue shariat-e-Islamiya hum se mutaliba karti hai ke hum Eid-ul-Adha ke ayaam mein Hazrat Ibrahimؑ aur Hazrat Ismailؑ ki azeem qurbani ki yaad mein apne Nabi Kareem ﷺ ki itteba karte hue qurbani mein barh charh kar hissa lein. Jaise ke sari insaniyat ke Nabi Huzoor Akram ﷺ ne irshad farmaya, kisi kaam mein maal kharch kiya jaye to woh Eid-ul-Adha ke din qurbani mein kharch kiya jane wala maal se zyada fazilat nahi rakhta! (Sunan Dar Qutni, Sunan Kubra Lilbayhaqi)

⭐Un dinon ba’az hazraat ne bawajood ke unhone qurbani ke sunnat-e-mu’akkadah aur islami sha’ar ka mawqif ikhtiyar kiya hai 1400 saal se jari o saari silsila ke khilaf apne aqwal o af’aal se goya yeh tabligh karni shuru kar di hai ke ek qurbani poore khandan ke liye kaafi hai aur qurbani kam se kam ki jaye jo sarasar Quran o Hadees ki rooh ke khilaf hai kyunke Huzoor Akram ﷺ ke aqwal o af’aal ki roshni mein ummat-e-Muslima ka ittifaq hai ke un ayaam mein zyada se zyada qurbani karni chahiye, deegar a’mal-e-saleha ki tarah qurbani mein bhi matloob o maqsood raza-e-Ilahi honi chahiye!

⭐Jaise ke Allah Ta’ala irshad farmata hai inna salati wa nusuki wa mahyaya wa mamati lillahi rabbil ‘alamin (Surah Al-An’am Ayat Number 162) Tarjuma: Meri namaz, meri qurbani, mera jeena, mera marna sab Allah ki raza mandi ke liye hai jo tamam jahaanon ka paalnewala hai!

⭐Neiz Allah Jall Shana ka farman hai lan yanaalallaha luhoomuha wa la dima’uha walakin yanaaluhu at-taqwa minkum (Surah Al-Hajj Ayat Number 37) Tarjuma: Allah ko na inka gosht pahunchta hai na inka khoon lekin uske paas tumhara taqwa pahunchta hai!

⭐Qurbani ki Ahmiyat wa Fazilat: Hazrat Abdullah bin Umarؓ farmate hain ke Huzoor Akram ﷺ ne Madina Munawwara mein das saal qiyam farmaya is qiyam ke dauran aap ﷺ qurbani karte rahe! (Tirmidhi Abwab-ul-Adha)

⭐Gharaz ke Huzoor Akram ﷺ ne Madina Munawwara ke qiyam ke dauran ek martaba bhi qurbani tark nahi ki bawajood ke aap ﷺ ke ghar mein bawajeh qilat-e-ta’am kai kai mahine chulha nahi jalta tha!

⭐Hazrat Zaid bin Arqamؓ se riwayat hai ke ek martaba hazraat sahaba karam رضوان اللہ تعالیٰ علیہم اجمعین ne Huzoor Akram ﷺ se sawal kiya, ya Rasool Allah ﷺ! Yeh qurbani kya hai? Aap ﷺ ne irshad farmaya: Tumhare baap Hazrat Ibrahimؑ ki sunnat hai, hazraat sahaba karam رضوان اللہ تعالیٰ علیہم اجمعین ne arz kiya: Humein qurbani se kya faida hoga? Huzoor Akram ﷺ ne irshad farmaya: Har baal ke badle mein ek neki milegi, hazraat sahaba karam رضوان اللہ تعالیٰ علیہم اجمعین ne arz kiya: Ya Rasool Allah ﷺ! Oon ke badle mein kya milega? Huzoor Akram ﷺ ne irshad farmaya: Oon ke har baal ke badle mein bhi neki milegi! (Sunan Ibn Majah Bab Sawab-ul-Adha)

Leave a Comment