RAMADAN – ROZE KE MASAIL

ROZA NA TODNEWALI 36 CHEEZEN..

woh chizen Jinse Roza nahi Tootta aur Na hi Makrooh hota Hai kon kon si hain?

  1. Taza miswak karna.
  2. Sar ya Munchho per Tail lagana.
  3. dawai ya taqat ka injection-teeka lagwana.
  4. Aankh me Dava daalna ya Surma lagana.
  5. Khushbu lagana.
  6. Garmi aur Pyas ki Vajah se Gusl karna Agarche pani ki thandk jism ke andar mahsoos ho.
  7. Bhool kar Khaa pi lena ya bhool kar sohbat karna.
  8. Halaq me bila ikhtiyar Dhunwa ya makkhi, machhar ka chala Jana.
  9. Khud ba Khud qai (vomiting) ho Jana chahe kitni hee ho.
  10. Sote hue aehatlaam ho Jana.
  11. Daanto me khoon aaye magar halaq me na jaye.
  12. dakaar aana jis ki wajha se khane ka maza halaq me mahsoos hona.
  13. Phool ya itr ki khushbu sunghna.
  14. bhiga huwa rumal sar par lapetna.
  15. bimari ki wajha se gulucoz, blood chadhana.
  16. oxizon lena.
  17. naak-rint zor se sidakna-khichna jis ki wajha se halaq me chali jaye.
  18. raal tapakne ko ho to use munh me khinch lena.
  19. thuk, balgam nigalna.
  20. paan khane ke baad kulli aur gargarah kiya lekeen us ki surkhi-lalash munh me baqi rah gai jis ka asar thuk ke sath halaq me jana.
  21. bila ikhtitar khud ba khud loban ya dawai ke chhantkaw ka dhunwa halaq ya naak me jana.
  22. kulli karne ke bad pani ka asar-tari ka halaq me jana.
  23. baam ya cream lagana.
  24. badnigahi ya badkhyali ki wajha se mazi ka nikalna.
  25. kamzor admi ka bivi ko buri nazar se dekhne ya bivi se sohbat ke tasawwur ki wajha se hi inzal-mani ka nikal jana. Agar gair mahram,nangi tasweer ya film dekhne se inzal ho to is gunah se roza makrooh hoga.
  26. bivi ko bosa lena.
  27. miswak karna jis ka maza bhi zuban par mahsoos ho.
  28. zere naaf ya bagal ke baal katna.
  29. heart ki bimari me zaban ke niche goli rakhna ba sharte ke us ka dawai ke ajazaa luaab-thuk ke sath halaq me na jaye.
  30. khun test karana ya dena.
  31. dialyisis karana.
  32. janabat ki halat me sehri karna aur subah sadiq ke baad gusl karna.
  33. nahate huwe, barish me bhigte huwe ya terte huwe bila ikhtiyar paani kaan me chala jana.
  34. kaan se mail nikalna chahe us ke liye salaai kitni hi martaba kaan me dalni pade.
  35. gardo gubaar-dhul mitti ka bila ikhtiyar halaq ya naak me dakhil ho jaye.
  36. pichhe ke raste me masse par ya zakham par dawai lagana.
  37. sehri ka waqt khatm hone elan ya roze ke time tebal ke waqt bad bhi khate raha lekeen subah sadiq se pehle ruk gaya lekeen aesa nahi karna chahiye is me roza fasid hone ka khatrah hai.

kitabul masail 2/safa 77 se 84 ka khulasa – Masaile roza (rafat) 59 se 70 ka khulasa

Leave a Comment